Sham-e-Gham Ki Sahar Nahi Hoti
Ya Hamen Ko Khabar Nahi Hoti
Ham Ny Sab Dukh Jahan Ky Dekhay Hain
Bekali Is Qadar Nahi Hoti
Nala Yun Narsaa Nahi Rehta
Ah Yun Be Asar Nahi Hoti
Chand Hai Kahkashan Hai Tare Hain
Koi Shae Nama Bar Nahi Hoti
Aik Jahan Soz o Namuraad Khalish
Is Taraf Hai Udhar Nahi Hoti
Doston Ishq Hai Khata Lakin
Kya Khata Darguzar Nahi Hoti
Raat Aa Kar Guzar Bhi Jati Hai
Ik Hamari Sahar Nahi Hoti
Be Qarari Sahi Nahi Jati
Zindagi Mukhtasir Nahi Hoti
Aik Din Dekhne Ko Aa Jate
Ye Hawis Umar Bhar Nahi Hoti
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta
Har Kisi Ki Nazar Nahi Hoti
Dil Piyala Nahi Gadae Ka
Aashiqui Dar Ba Dar Nahi Hoti
===============================
شام غم کی سحر نہیں ہوتی
یا ہمیں کو خبر نہیں ہوتی
ہم نے سب دکھ جہاں کے دیکھے ہیں
بیکلی اِس قدر نہیں ہوتی
نالا یوں نارسا نہیں رہتا
آہ یوں بے اثر نہیں ہوتی
چاند ہے کہکشاں ہے تارے ہیں
کوئی شے نامہ بر نہیں ہوتی
ایک جہاں سوز و نامراد خلش
اِس طرف ہے اُدھر نہیں ہوتی
دوستوں عشق ہے کھاتا لیکن
کیا کھاتا در گزر نہیں ہوتی
رات آ کر گزر بھی جاتی ہے
اک ہماری سحر نہیں ہوتی
بے قراری سہی نہیں جاتی
زندگی مختصر نہیں ہوتی
ایک دن دیکھنے کو آ جاتے
یہ ہوس عمر بھر نہیں ہوتی
حُسن سب کو خدا نہیں دیتا
ہر کسی کی نظر نہیں ہوتی
دِل پیالا نہیں گدائی کا
عاشقی در بہ در نہیں ہوتی
This is one very great piece of poetry by Ibn-e-Insha. We tried to do justice with this poetry wholeheartedly and we are sharing it with the hope that it will make a special place in your heart. Let me know your feedback in the comment section. Ibn-e-Insha is a famous poet and we are representing his famous poetry (Sham-e-Gham Ki Sahar Nahi Hoti).
Our Youtube Channel: https://www.youtube.com/channel/UCmVFv1kBHc_OJqF0Y1RGHDQ
0 Comments