Link

header ads

Marhalay Shoq K Dushwar Hua Karte Hain – Adab Kahani (Mohsin Naqvi)

Marhalay Shoq K Dushwar Hua Karte Hain
Saey Bhi Raah Ki Deewar Hua Karte Hain

Wo Jo Sach Bolte Rehne Ki Qasam Khate Hain
Wo Adalat Main Gunahgar Hua Karte Hain

Sirf Hathon Ko Na Dekho Kabhi Aankhen Bhi Parho
Kuch Sawali Bare Khuddaar Hua Karte Hain

Subha Ki Pehli Kiran Jis Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Hua Karte Hain

Jin Ki Ankhon Main Sada Pyaas Ke Sehra Chamkain
Dar Haqeeqat Wohi Fankaar Hua Karte Hain

Sharm Aati Hai K Dushman Kise Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi To Maeyar Hua Karte Hain

==========================================

مرحلے شوق کے دشوار ہوا کرتے ہیں
سائے بھی راہ کی دیوار ہوا کرتے ہیں

وہ جو سچ بولتے رہنے کی قسم کھاتے ہیں
وہ عدالت میں گنہگار ہوا کرتے ہیں

صرف ہاتھوں کو نہ دیکھو کبھی آنکھیں بھی پڑھو
کچھ سوالی بڑے خوددار ہوا کرتے ہیں

صبح کی پہلی کرن جس کو رُلا دیتی ہے
وہ ستاروں كے عزادار ہوا کرتے ہیں

جن کی آنکھوں میں سدا پیاس كے صحرا چمکیں
دَر حقیقت وہی فنکار ہوا کرتے ہیں

شرم آتی ہے کی دشمن کسے سمجھیں محسن
دشمنی كے بھی تو معیار ہوا کرتے ہیں

This is one very great poetry by Mohsin Naqvi. We tried to do justice with this poetry wholeheartedly and we are sharing it with the hope that it will make a special place in your heart. Let me know your feedback in the comment section. Mohsin Naqvi is a famous poet and we are representing his famous poetry (Marhalay Shouq ka Dushwar Hua Karta Hain).

Our Youtube Channel: https://www.youtube.com/channel/UCmVFv1kBHc_OJqF0Y1RGHDQ


 

Post a Comment

0 Comments