Bhulata Lakh Hoon Lekin Barabar Yaad Aate Hain
ELahi Tark-e-Ulfat Par Wo Kun Kar Yaad Aate Hain
Na Chair Aey Ham Nasheen Kaifiyat Sehbaa Ky Afsane
Sharab Be Khudi Ky Mujh Ko Saghar Yaad Aate Hain
Raha Karte Hain Qaid Hosh Main Aey Waey Nakami
Wo Dasht Khud Faramoshi Ky Chakkar Yaad Aate Hain
Nahi Aati To Yaad UnKi Mahino Tak Nahi Aati
Magar Jab Yaad Aate Hain To Aksar Yaad Aate Hain
Haqeeqat Khul Gai Hasrat Tere Tark Muhabbat Ki
Tujhe Toh Ab Wo Pehle Se Bhi Barh Kar Yaad Aate Hain
=============================================
بھلاتا لاکھ ہوں لیکن برابر یاد آتے ہیں
الہی ترک الفت پر وہ کیوں کر یاد آتے ہیں
نہ چھیڑ اے ہَم نشیں کیفیت صہبا کے افسانے
شراب بے خودی کے مجھ کو ساغر یاد آتے ہیں
رہا کرتے ہیں قید ہوش میں اے وائے ناکامی
وہ دشت خود فراموشی کے چکر یاد آتے ہیں
نہیں آتی تو یاد ان کی مہینوں تک نہیں آتی
مگر جب یاد آتے ہیں تو اکثر یاد آتے ہیں
حقیقت کھل گئی حسرت ترے ترک محبت کی
تجھے تو اب وہ پہلے سے بھی بڑھ کر یاد آتے ہیں
This is one very excellent piece of poetry by Hasrat Mohani. We tried to do justice with this poetry wholeheartedly and we are sharing it with the hope that it will make a special place in your heart. Let me know your feedback in the comment section. Hasrat Mohani is a famous poet and we are representing his famous poetry (Bhulata Lakh Hoon Lekin Barabar Yaad Aate Hain).
Our Youtube Channel: https://www.youtube.com/channel/UCmVFv1kBHc_OJqF0Y1RGHDQ
0 Comments