Link

header ads

Usse khud se mohabbat thi yeh dil kuch aur samjha tha Lovely Poetry


Wo jazboun ki tijaarat thi yeh dil kuch aur samjha tha…

Usse hansne ki aadat thi yeh dil kuch aur samjha tha….

Mujhe uss ne kaha aao nae duniya basaate hain…

Usse soojhi sharaarat thi yeh dil kuch aur samjha tha….

Hamaisha uss ki aankhoun me dhanak se rang hote they…

Yeh usski aam haalat thi yeh dil kuch aur samjha tha…

Wo mere paas baitha dair takk ghazlain meri sunta

Usse khud se mohabbat thi yeh dil kuch aur samjha tha….

mere kaandhay par sar rakh ke kahn par khou gaya tha wo..

Yeh aik waqti inaayat thi yeh dil kuch aur samjha tha…..

Post a Comment

0 Comments