Link

header ads

Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho ~ Adab Kahani (Momin Khan Momin)

Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho
Wahi Yani Wada Nibah Ka Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Wo Jo Lutf Mujh Pe The Beshtar Wo Karam Ki Tha Mere Haal Par
Mujhe Sab Hai Yaad Zara Zara Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Wo Nae Gile Wo Shikayaten Wo Maze Maze Ki Hikayaten
Wo Har Ek Baat Pe Ruthna Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Kabhi Baithe Sab Mein Jo Ru-Ba-Ru To Ishaaraton Hi Se Guftugu
Wo Bayan Shauq Ka Barmala Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Hue Ittifaq Se Gar Baham To Wafa Jatane Ko Dam-Ba-Dam
Gila-E-Malamat-E-Aqriba Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Koi Baat Aisi Agar Hui Ki Tumhaare Ji Ko Buri Lagi
To Bayan Se Pahle Hi Bhulna Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chah Thi Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Rah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Bhi The Aashna Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Suno Zikr Hai Kai Sal Ka Ki Kiya Ek Aap Ne Wada Tha
So Nibahane Ka To Zikr Kya Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Kaha Main Ne Baat Wo Kothe Ki Mere Dil Se Saf Utar Gai
To Kaha Ki Jaane Meri Bala Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Wo Bigadna Wasl Ki Raat Ka Wo Na Manna Kisi Baat Ka
Wo Nahin Nahin Ki Har Aan Ada Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Jise Aap Ginte The Aashna Jise Aap Kahte The Ba-Wafa
Main Wahi Hun ‘Momin’-E-Mubtala Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

=============================================

وہ جو ہم میں تم میں قرار تھا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو
وہی یعنی وعدہ نباہ کا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ جو لطف مجھ پہ تھے بیشتر وہ کرم کہ تھا مرے حال پر
مجھے سب ہے یاد ذرا ذرا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ نئے گلے وہ شکایتیں وہ مزے مزے کی حکایتیں
وہ ہر ایک بات پہ روٹھنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کبھی بیٹھے سب میں جو روبرو تو اشارتوں ہی سے گفتگو
وہ بیان شوق کا برملا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

ہوئے اتفاق سے گر بہم تو وفا جتانے کو دم بہ دم
گلۂ ملامت اقربا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کوئی بات ایسی اگر ہوئی کہ تمہارے جی کو بری لگی
تو بیاں سے پہلے ہی بھولنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کبھی ہم میں تم میں بھی چاہ تھی کبھی ہم سے تم سے بھی راہ تھی
کبھی ہم بھی تم بھی تھے آشنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

سنو ذکر ہے کئی سال کا کہ کیا اک آپ نے وعدہ تھا
سو نباہنے کا تو ذکر کیا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کہا میں نے بات وہ کوٹھے کی مرے دل سے صاف اتر گئی
تو کہا کہ جانے مری بلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ بگڑنا وصل کی رات کا وہ نہ ماننا کسی بات کا
وہ نہیں نہیں کی ہر آن ادا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

جسے آپ گنتے تھے آشنا جسے آپ کہتے تھے با وفا
میں وہی ہوں مومنؔ مبتلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

This is one very great piece of poetry by Momin Khan Momin. We tried to do justice with this poetry wholeheartedly and we are sharing it with the hope that it will make a special place in your heart. Let me know your feedback in the comment section. Momin Khan Momin is a famous poet and we are representing his famous poetry (Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho).

Our Youtube Channel: https://www.youtube.com/channel/UCmVFv1kBHc_OJqF0Y1RGHDQ


 

Post a Comment

0 Comments