Link

header ads

Sitaron Say Agay Jahan Aur Bhi Hain ~ Adab Kahani (Allama Iqbal)


Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain

Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fazaen
Yahan Saikdon Karwan Aur Bhi Hain

Qanaat Na Kar Aalam-E-Rang-O-Bu Par
Chaman Aur Bhi Aashiyan Aur Bhi Hain

Agar Kho Gaya Ek Nasheman To Kya Gham
Maqamat-E-Ah-O-Fughan Aur Bhi Hain

Tu Shahin Hai Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Aasman Aur Bhi Hain

Isi Roz O Shab Mein Ulajh Kar Na Rah Ja
Ki Tere Zaman O Makan Aur Bhi Hain

Gae Din Ki Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raaz-Dan Aur Bhi Hain

=====================================

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں

تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں

قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں

اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں

تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں

اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں

گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں

This is one very great poetry by Allama Iqbal. We tried to do justice with this poetry wholeheartedly and we are sharing it with the hope that it will make a special place in your heart. Let me know your feedback in the comment section.

Allama Iqbal is a famous poet and we are representing his famous poetry (Sitaron Say Agay Jahan Aur Bhi Hain).

Our Youtube Channel: https://www.youtube.com/channel/UCmVFv1kBHc_OJqF0Y1RGHDQ


Post a Comment

0 Comments