Link

header ads

Main Khaiyal Hun Kisi Or Ka Mujha Sochta Koi Or Ha – Adab Kahani (Saleem Kausar)

Main Khaiyal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aaina Mera Aks Hai Pas-E-Aaina Koi Aur Hai

Main Kisi Ke Dast-E-Talab Mein Hun To Kisi Ke Harf-E-Dua Mein Hun
Main Nasib Hun Kisi Aur Ka Mujhe Mangta Koi Aur Hai

Ajab E’tibar O Be-E’tibari Ke Darmiyan Hai Zindagi
Main Qarib Hun Kisi Aur Ke Mujhe Janta Koi Aur Hai

Meri Raushni Tere Khadd-O-Khal Se Mukhtalif To Nahin Magar
Tu Qarib Aa Tujhe Dekh Lun Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai

Tujhe Dushmano Ki Khabar Na Thi Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Teri Dastan Koi Aur Thi Mera Waqia Koi Aur Hai

Wahi Munsifon Ki Riwayaten Wahi Faislon Ki Ibaraten
Mera Jurm To Koi Aur Tha Pa Meri Saza Koi Aur Hai

Kabhi Laut Aaen To Pochna Nahi Dekhna Unhe Ghaur Se
Jinhen Raste Mein Khabar Hui Ki Ye Rasta Koi Aur Hai

Jo Meri Riyazat-E-Nim-Shab Ko ‘Salim’ Subh Na Mil Saki
To Phir Is Ke Mani To Ye Hue Ki Yahan Khuda Koi Aur Hai

========================================================

میں خیال ہوں کسی اور کا مجھے سوچتا کوئی اور ہے
سر آئینہ مرا عکس ہے پس آئینہ کوئی اور ہے

میں کسی کے دست طلب میں ہوں تو کسی کے حرف دعا میں ہوں
میں نصیب ہوں کسی اور کا مجھے مانگتا کوئی اور ہے

عجب اعتبار و بے اعتباری کے درمیان ہے زندگی
میں قریب ہوں کسی اور کے مجھے جانتا کوئی اور ہے

مری روشنی ترے خد و خال سے مختلف تو نہیں مگر
تو قریب آ تجھے دیکھ لوں تو وہی ہے یا کوئی اور ہے

تجھے دشمنوں کی خبر نہ تھی مجھے دوستوں کا پتا نہیں
تری داستاں کوئی اور تھی مرا واقعہ کوئی اور ہے

وہی منصفوں کی روایتیں وہی فیصلوں کی عبارتیں
مرا جرم تو کوئی اور تھا پہ مری سزا کوئی اور ہے

کبھی لوٹ آئیں تو پوچھنا نہیں دیکھنا انہیں غور سے
جنہیں راستے میں خبر ہوئی کہ یہ راستہ کوئی اور ہے

جو مری ریاضت نیم شب کو سلیمؔ صبح نہ مل سکی
تو پھر اس کے معنی تو یہ ہوئے کہ یہاں خدا کوئی اور ہے

This is one very great poetry by Saleem Kausar. We tried to do justice with this poetry wholeheartedly and we are sharing it with the hope that it will make a special place in your heart. Let me know your feedback in the comment section.

Saleem Kausar is a famous poet and we are representing his famous poetry (Main Khaiyal Hun Kisi Or Ka Mujha Sochta Koi Or Ha).

Our Youtube Channelhttps://www.youtube.com/channel/UCmVFv1kBHc_OJqF0Y1RGHDQ


 

Post a Comment

0 Comments