Wo mera tha Yeh btaana ajeeb lagta hai…
Ubb uss se aankh milaana ajeeb lagta hai…
jo zindagi main hamaara kabhi na ho saka..
ubb uss ka khuwaab main aana ajeeb lagta hai…
barhe khuloos se daawat tou uss ne bheji hai…
par uss bazzm main jaana ajeeb lagta hai….
tha jiss ka haath kabhi hamaare haath main…
Ubb uss se haath milaana ajeeb lagta hai..
0 Comments